Hazrat Ali RA
Aqwal Hazrat Ali(R.A) :حضرت علی
Insan ka apne Dushman s inteqam ka sb sy acha tariqa ye he k wo apni khubiyon me izafa kre 'Hazrat Ali (a.s)
1-Wo gunah jis ka tumhein ranj ho,
Allah k nazdeeq us nayki se behtar hai
jis se tum main ghuroor paida ho jaye".
( Hazrat ALI a.s )
-----------
2-Kisi ne Hazrat ALI a.s se poocha:
"Dost aur bhai main kya farq hai?"
Aap ne farmaya:
"Bhai sona hai aur dost heera hai."
Us aadmi ne kaha:
"Aap ne bhai ko kam qeemat aur dost ko qeemti cheez se kyun tashbeeh di?"
To aap ne farmaya:
"Sone main agar darar aa jaye to us ko pighla kar bilkul pehlay jaisa banaya ja sakta hai. Jab ke heeray main aik darar aa jai to wo kabhi bhi pehlay jaisa nahi ban sakta.'
-----------
3-Ager kisi ka zaraf azmana ho to usko ziada izat do
Wo ala zaraf hoa to ap ko or izat day ga
or kam zaraf hoa to khud ko AALA ZARAF sumjhey ga
( Hazrat ALI a.s )
-----------
4-Hazrat ALI a.s Ka Frman Hy:-
"Bura Dost Aag Ki Manind Hy"
"Agr Jalta Hoga To Apko Jala Dega"
"Or Agr Bujha Hoga To Ap K Hath Kale Kr Dega"
This version of Aqwal Hazrat Ali(R.A) Android App comes with one universal variant which will work on all the Android devices.
If you are looking to download other versions of Aqwal Hazrat Ali(R.A) Android App, We have 3 versions in our database. Please select one of them below to download.