Small bug fixed
Improve google advertisement ads layout encourage accidental clicks policy
Gharelu Nuskhe For Ghutno Ka Dard
Yadi aapko bhi ghutno mein dard rehta hai, jodo ka dard satata hai, chalne mein takleef hoti hai to diye gaye ghutno ke dard ke desi aur gharelu ilaj aapke liye faydemand saabit ho sakte hai.
Ghutne Ka Dard kam karne ke liye kaneer ki patti ubalkar acche se pees lein aur meethe tel mein mila kar leph kare, isse ghutno ke dard mein aaram milta hai aur joron ke dard ka ilaj hota hai.
Agar ghutno mein dard jyada ho, ya jodo ka dard sata raha ho to kadave ke tel mein ajwain aur lehsun ko jalakar, tyaar kiye hue tel ki malish karne se bhi joron ke dard mein farak dikhega aur iss tel ko shareer par lagane se badan ka dard bhi dur ho jata hai.
Sahjan ki pattiya bareek pees kar sarso ke tel mein halka sa paka lein, iss tel se ghutno me maalish karna bhi haddi mein dard ke liye ek accha gharelu upchar hai.
Dal me sahjan (drumsticks) ki faliyan daal kar pakaye aur khana khate samay faliyo ko choos kar khane se bhi farak dikhega.
Subah bhukhe pet 3-4 akhrot ki giri khane se ghutno ke dard mein aaram milta hai.
Nariyal ki giri khate rahne se ghutno ka dard kam hota hai.
Arandh ke patte aur mehendi pees kar lep karne se ghutno ka dard dur ho jata hai.
6 gm konch ke beejho ko doodh ke sath 14 din tak khane se ghutne ka dard kam ho jata hai.
Umar badhne ki wajah se joron mein dard rokne ke liye, roz subah 3-4 methi ke daane taaze paani ke saath lene se laabh hoga.
Subah-shaam 2 minute ke liye bhadrasana (butterfly pose) ka abhyaas karne se ghutne (knees) mazboot hote hain.
***------Gharelu Nuskhe For Ghutno Ka Dard in Hindi (घुटने के दर्द का इलाज़)------***
* घुटने का दर्द कम करने के लिए कनीर के पत्ते उबालकर अच्छे से पीस लें और मीठे तेल में मिला कर लेप करें, इससे घुटनो के दर्द में आराम मिलता है और दर्द चला जाता है।
* अगर घुटनों में दर्द ज्यादा हो या जोड़ों का दर्द सता रहा हो तो कड़वे के तेल में अजवाइन और लहसुन को जलाकर तैयार किए हुए तेल की मालिश करने से भी जोड़ों के दर्द में फरक दिखेगा और इस तेल को शरीर पर लगाने से बदन का दर्द भी दूर हो जाता है।
* सहजन की पत्तियां बारीक पीसकर सरसों के तेल में हल्का सा पका लें, इस तेल से घुटनो मे मालिश करना भी एक अच्छा घरेलू उपचार है।
* दाल में सहजन (ड्रमस्टिक्स) की फलियां डाल कर पकाएं और खाना खाते समय फलियो को चूस कर खाने से भी फरक दिखेगा।
* सुबह भूखे पेट 3-4 अखरोट की गिरी खाने से घुटनो का दर्द में आराम मिलेगा।
* नारियल की गिरी खाते रहने से घुटनो का दर्द कम होता है।
* अरन्ध के पत्ते और मेहँदी पीस कर लेप करने से घुटनो का दर्द दूर हो जाता है।
* 6 गम कॉंच के बीझो को दूध के साथ 14 दिन तक खाने से घुटने का दर्द मिट जाता है।
* उमर बढ़ने की वजह से जोरों में दर्द रोकने के लिए, रोज़ सुबह 3-4 मेथी के दाने ताज़े पानी के साथ लेने से लाभ होगा।
* सुबह-शाम 2 मिनट के लिए भद्रासन का अभ्यास करने से घुटने मज़बूत होते हैं।
This version of Ghutno Ke Dard ka Upay Android App comes with one universal variant which will work on all the Android devices.
If you are looking to download other versions of Ghutno Ke Dard ka Upay Android App, We have 2 versions in our database. Please select one of them below to download.