Logoun main beemari aur kamzori ki kiya wajoohat hain? Wo kyon boht jaldi boorhay ho jaatay hain? Aur poori umer basar kernay say pehlay he mer jaatay hain. Akhir konsa aisa ilaj hai jis say kamzori aur beemari ghatt jaaye. Shortly, 3 wajoohaat hain jis say hamara mulk kamzoron, beemaron aur boorrhon ka gher ban raha hai:
1. Khoraak ka Naqs
2. Warzish say la perwaahi
3. Chaal Chalan ki Kharaabi
Is Application kay zyada hissa main Khanay Peenay Ki taqreeban tamam cheezon ka zikar hai jo kay ham aam taur per istimaal kertay hain. Anaaj, Sabziyan, Phal, Maivay, Gosht, Paani, Mitti, Doodh, Ghee, masalay, radeef waar alif say lay ker yay tak jitnay hain. In sab ki taseer day dee gaye hai. konsi cheez kis tabeat kay logon kay liye mufeed hai aur kin ko nahin. Kin Khaas beemariyon main konsi ghezaa istimaal hoti hai aur kin main nahin. Iss application main in detail sab ghizaaon say ilaj kay baaray main btaya gya hain.
Is boht hi mofeed application say apni sehat main izafa kran aur beemariyon aur kamzoriyon main kami karain.
This version of Ilaj Bil Ghezaa Android App comes with one universal variant which will work on all the Android devices.
If you are looking to download other versions of Ilaj Bil Ghezaa Android App, We have 9 versions in our database. Please select one of them below to download.