Biddat Ke Mutalik Video Add Kar Di Gai
Kia Melad Manana Biddat hai?
Iss App Ki Madad Se Apko Mustanad Maloomat Mil Jaye gi. Fesla ap Khud Karen
Nabi Pak Ke Fazail/ Khasais
Biddat Ya Izhar-e- Muhabbat ?? Eid Melad un Nabi ﷺ Book
Aur Khasaise Mustafa by Tahir ul Qadri Minhaj ul Quran ka bani
jesy hi Rabi ul Awal ka mahina shoro hota hai log idr udr se be tuki baty shoro kr dety hen jesy...
"milad manana biddat hai"
"kia melad Hazrat Muhammad ﷺ ke sahaba ne manaya?"
"Milad un Nabi Alahazrat Imam Ahmed Raza ne Ejaad kia"
Rabi-al-awwal ka maheena shuru hotay hi aik taraf log huzoor? ki wiladat ka zikar kar –apne dilon ko Munawar karte hain to doosri taraf kuch log milad par terhan terhan ke aitraaz karte
nahi thaktay. milaad kahan se saabit hai? milad bidat hai aur 12 Rabi-al-awwal to wafaat ka din hai aur bhoolay bhaale musalmanoon ko gumraah karne ki koshish karte hain .
isi baat ko mad nazar rakhtay hue Islam3d Madani Apps ne aik bohat achi kitaab ko app ki shakal mein badla hai jis mein milad ke baray mukhtasir magar jame andaaz mein quran o hadees se melad النبیﷺ ko saabit kya gaya hai. aur is ke ilawa moatarzin ke aitrazaat ko Ilmi aur aqli dalail se radd kya gaya hai .
ahem darkhwast :
meri tamam ahal ilm se گزراش hai ke aik baar is kitaab ka mutalea zaroor karen. taa ke aap bhi bana kisi vahm ke josh وجذبہ ke sath milaad النبیﷺ ka
ihtimaam karen. jo log pehlay se ilm rakhtay hain woh bhi is kitaab se zaroor kuch haasil karen ge .
Peshe Nazar:
12 Rabi ul Awal melad un nabi ki khushi aur iss mein mussarrat ka izhar ek sachy momin ki pehchan aur usky jazba qalbi ka elan hai. jis mein na kisi kism ki koi burai hai na koi qabahate sharee na daleel ki hajat na behas ki zarorat balky har musalman ka emaan bolta hai Ke Nabi pak ﷺ ki
wiladat ki khushi manana eman ke ek hissa hai.
* Ahm Safhaat
* Taruf Melad un Nabi
* Quran se Melad ka Saboot
* Hadith se Melad un nabi ka saboot
* Muslim Mulko Mein Melad
* Kia Milad un Nabi Biddat Hai?
* Melaad Aur Eid
* 12 Rabi ul Awal Wafat Ya Wiladat
* Eid Melad un Nabi aur Ijame Ummat
* App Ki Khasosiyat:
* Safhay ko Pasandeeda kr sakty hen aur phr tamam pasandeeda safhaat
ki mukamal list dekh sakty hen
* Apni marzi ke Safha Per ja skty hen.
* Mukamal Safhat Ki list bhi alg se di gai hai.
* Parhny ke aitbar se dilchasp ar clear Font aur Size
* Pasandeda Safha ko ap gallary mein download Bhi Kar sakty hein.
* Ikhtiyarat e Mustafa
* Khasosiyat e Mustafa
* Credit/Tribute:
Yeh Kitab/book ( Biddat Ya Izhar-e-Muhabbat? Eid Melad un Nabi) "Mufti Farhan Qadir" sb ne Tehreer farmai hai Jo Molana Azad College se farig ul tehseel hai aur support mein Khawja Gareeb Nawaz Organization Kolkata kar ahm kirdar hai .
Aur iss kitab Eid Melad un Nabi book ko app ki sorat me asaan alfaz mein "Islam3d Madani Apps" Developer ne banai hai. Humara maqsad Hazrat Muhammad ﷺ ki taleemat aur islam ko pori dunia tak phelana aur musalmano mein Quran aur hadith ki roshni phelana hai.
This version of Milad un Nabi Biddat Ya Muhbat Android App comes with one universal variant which will work on all the Android devices.
If you are looking to download other versions of Milad un Nabi Biddat Ya Muhbat Android App, We have 3 versions in our database. Please select one of them below to download.