Mohsin Naqvi Urdu Shayari ka ek Moatabir naam hai. Chahe Shayari romani ho yan dil tar tar kerne ke jazbat, inki shayari mai bakhoobi donu ansar paye jate hen. Hijr ke lamhat ka jis khoobsurat andaz mai ziker inki shayari mai hai woh kaheen aur nahi milta. November December ki serdiyan hon aur tote dil ki baat, to phir kahan koi Mohsin Naqvi sahab ko bhool sakta hai janab. Bas cherh dijiye phir tote dil ke tar aur mulahiza farmayen Mohsin sahab ki shayari, her dil ki tanhai aur bikhre jazbat ka ayina pesh kerta her ek misra, jaise khud ap zubani hum likh rahe hon. Kya khoob andaze bayan hai Naqvi sahab ka, dil se nikle her shikwe ka ehsas lafz lafz mai piro ker samne rakh dia ho jaise.
Dukh bhare jazbat ke sath romanwi yadein bhi baasani mehsoos hoti hai inki shayari mai, guzre beete lamhat aur pyari yadoon ka majmoa bikhair bikhair ker bayan kerte hen Mohsin sahab ke alfaz.
Mulahiza kijiye, lutf andooz hon aur hamai apne reviews ke zariye mazeed fankari aur maslihat se agah kijiye.
This version of Mohsin Naqvi Shayari Book Android App comes with one universal variant which will work on all the Android devices.
If you are looking to download other versions of Mohsin Naqvi Shayari Book Android App, We have 1 version in our database. Please select one of them below to download.