Qurbani Ke Masail or Ahkam
Qurbani ke masail hum sub ko maloom hone chahiye. dosto jesa ke ap sub jante hain kal ko Pakistan mei Eid ul Adha ka din hai or taqriban har ghar me hi qurbani ki jati to hum sub ko qurbani ke masail or ahkamat ke barey me mukammal ilm hona chahiye. Mai yahan is forum me qurbani ke fazail, qurbani ke ahkam or masail ap sub ki khidmat me pesh kar raha hon. Parhiye or qurbaani karte waqt hamesha yaad rakhiye.
QURBAANI KA BAYAAN
qurbaani hazrat saiyyiduna ibaraheem عليه السلام ki sunnat hai jo is ummat ke liye baaqi rah gayi aur nabi صلى الله تعالى عليه وسلم ko qurbaani karne ka hukm diya gaya irshad farmaya
AHAADEES E KAREEMA
(1) ummul mumineen hazrat aaishah siddiaqa رضى الله تعالى عنها se riwayat hai keh huzur e aqdas صلى الله تعالى عليه وسلم ne irshad farmaya keh yaumunnahar (daswen zilhijjah) men ibn e aadam ka koi amal khuda ke nazdeek khoon bahane ( qurbaani karne) se ziyadah piyaara nahin aur oh jaanwar qiyaamat ke din apne sing aur baal aur khuron ke saath aayega aur qurbaani ka khoon zmeen par girne se qabl khuda ke nazdeek maqaam e qubool men pahunch jaata hai lihaza is ko khush dili se karo
(Abu daaud / tirmizi / ibn e maajah)
(2) hazrat imam hasan bin ali رضى الله تعالى عنهما se riwayat hai keh huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya jis ne khushi se taalib e sawab ho kar qurbaani ki oh aatish e jahannam se hijaab (rok) ho jaayegi
(tibraani)
MASAAIL E FIQHIYYAH
QURBAANI KI TA’REEF
Makhsoos janwar ko makhsoos din men baniyyat e taqarrub zabah karna qurbani hai
(Bahar e shari’at)
QURBAANI KI QISMEN
qurbaani ki kayi qismen hain
(1) Gani aur faqeer dono par wajib hai is ki soorat ye hai keh qurbani ki mannat maani ye kaha keh allah ke liye mujh par bakri ya gaaye ki qurbaani karna hai ya is bakri ya gaaye ki qurbani karna hai
(Bahar e shari’at)
(2) faqeer par wajib ho gani par wajib na ho is ki soorat ye hai keh faqeer ne qurbaani ke liye janwar khareeda us par us jaanwar ki qurbaani wajib hai aur agar gani khareedta to is khareedne se qurbaani us par wajib na hoti
(Bahar e shari’at)
(3) gani par wajib ho faqeer par wajib na ho is ki soorat ye hai keh qurbaani ka wujoob na khareedne se ho na mannat maanne se balkeh khuda ne jo use zindah rakha hai us ke shukurya men aur hazrat ibraahim عليه السلام ki sunnat ki ihya men jo Qurbaani wajib hai oh sirf gani par hai
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: musafir pe Qurbaani wajib nahin agar musafir ne Qurbaani ki tataww’u (nafl) hai
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: faqeer ne agar na mannat maani ho na Qurbaani ki niyyat se Jaanwar khareeda ho to uska Qurbaani karna bhi tataww’u (nafl) hai
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: bakri ka maalik tha aur uski Qurbaani ki niyyat kar li ya khareedne ke waqt Qurbaani ki niyyat na thi ba’d men niyyat kar li to is niyyat se Qurbaani wajib nahin hogi
(Bahar e shari’at)
QURBAANI KE WAJIB HONE KE SHARAAIT
(1) ISLAM
yani gair muslim pe Qurbaani wajjb nahin
(2) IQAAMAT
yani muqeem hona musaafir par wajib nahin
(3) TAWANGARI
yani maalik nisaab hona yahan maaldaari se murad wahi hai jis se sadqa e fitr wajib hota hai oh murad nahin jis se zakat wajib hoti hai
(Nisab ki tafseel nisab ke bayan men mulahaza farmayen)
(4) HURRIYYAT
yani aazad hona jo aazad na ho us pe Qurbaani wajib nahin keh gulam ke paas maal hi nahin lihaza ibadat e maaliya us pe wajib nahin
(Bahar e shari’at)
FAZAAIL O MASAAIL E EIDUL AZHA O QURBAANI
TASHEEH
Qurbani Prayer app have complete procedure of Qurbani from Quran and hadith
- Qurbani k janwar ki kharaidari
- Qurbani ky masail
- Takbeer ka tareeqa
- All about qurbani
- Qurbani ki zarorat
Who Must offer Qurbani?
- Every Muslim should perform Qurbani. The only special cases are as follows:
- Those who don’t own 52.5 tolas of silver, or the wealth equivalent
- Those with not good mental condition.
- Those who are traveling and are more than the Shar’ i distance from home (approximately 40-45 kilometers)
- Who have not yet reached and passed puberty
This version of Qurbani ke Masail مسائل قربانی Android App comes with one universal variant which will work on all the Android devices.
If you are looking to download other versions of Qurbani ke Masail مسائل قربانی Android App, We have 1 version in our database. Please select one of them below to download.