Zakat ke Ahkam application hamare sarfeen ko zakat ki ehmiat aur afadiat se agah kerne k liye banai gayi hai. Is app mai shamil hen tamam maloomat jo zakat se mutalik hen. Kisko zakat dena hai? kitna zakat ada kerna hai? kya mujhper zakat wajib hota hai? Kaise zakat ada kerna hai? ese tamam sawal jo hamare behen bhai k zehen mai hon, woh is application se apne tamam sawalat k jawab hasil kerke ramzan ke babarkat mahine mai apni zakat ada kerke Allah ki qurbat aur khushnoodi hasil ker sakte hen.
Zakat ada kerne se maal mai barkat hoti hai, masoom aur zakat ke hakdar zarooratmand logon ki takleef door hone se apki takleef mai kami ati hai aur esaal-e-sawab mai kayi gunnah izafa hota hai. Ramzan ke babarkat mahine mai jahan her naiki ka ajar hazar gunah se bhi berh ker hota hai, waheen zakat ki barkaat aur Allah tabarak-o-taala ki khushnoodi bhi hazar gunah ziyada naseeb hoti hai. To bhaion aur behno, aap bhi is application ko download kerke zakat ki ehmiat aur uski afadiat se faida hasil karen aur apne ehlo ahbab tak ponchayen. Beshak ilm aur naiki batne se berhti hai aur is babarkat mahine mai mazeed hazar gunah naiki ka sila mile apko bhi aur hamai bhi.
Allah apko Ramzan ul Mubarak mai jaza-e-khair ata farmaye aur baki islami mahino mai bhi ap per meherban rahe, be-shak Allah bahut meherban hai nihayat rehem kerne wala aur ajar dene wala hai.
This version of Zakat ke Ahkam Android App comes with one universal variant which will work on all the Android devices.
If you are looking to download other versions of Zakat ke Ahkam Android App, We have 1 version in our database. Please select one of them below to download.